ek din paaya tumko apne bahut pass
sunai de rahee thi tumhari har ek saas
woh lamhe mere liye the sabse khaas
yeh waqt yahi ruk jaaye yehi thi meri aas.
tumhaarey haantho mein tha mera haath,
har musam se suhaana laga tha tumara saath,
tumhaari muskaan thi tumhare hoto per barkaraar
aur meri aankhe tumhare chehre ko dekh thi bekaraar
hum baithe the jaise bas yeh ho aakhri mulakaat,
aur main kar rahaan tha sirf tumhari hi baat,
woh kuch pal the jaise ek lambi raat
aur main soch rahaan tha ki kabhi na aaye subah ki baraat.
tumhari muskaan ka har taraf tha jaadu chaya,
pata nahi bhagwaan mera zindagi mein yeh haseen pal kaise laaya,
tumhari aankho me ek sharaart bhara nazaara tha
hum the itne kareeb jitna tum se tumhara saaya.
tabhie tumne mere gaalo ko apne hoato se chhuaa,
is dil ko bhi nahi pata ki us pal mein kya hua,
yeh dil pal mein ban baitha tumhare pyaar ka kua,
bas ab yeh bhar jaaye yehi thi is dil ki dua.
Meri aankhen hue nasheele aur tha unmein pyaar
meri aankhon se zyada tha tumhari mein tha karaar,
dil mein pyaar ke alaawa koi nahi bacha tha ab vichaar
humarey dil ho gaye the ek aur aankhe hue thi chaar.
Apne chehre ke
Tumhaari baahon mein apni saarii uljano ko suljhaya,
Tumhari hoato ki chhuhan mein mujhe jannat ka nasha aaya,
Tumhe nahi pata ki Tumhari has 1 ada ne mujhe kitna sataaya,
Yeh haseen pal pata nahi kaun laaya.
Tabhie ek thandi hawa ka jhoka aaya,
Shaayad mausam ko bhi mujhper kuch rehem aaya,
Tumko who meri baahoon me aur bhi simta laaya,
Yeh toh tum bhi nahi jaanti ki mere dil ko kitna sukoon aaya.
Tabhie barsaat ne bhi ki manmaani
Jum ker barsaaya thanda paani
Tumhare chehre ko chootey hue girti thi boondey suhaani,
Aur is mausam mein tum huee aur bhi diwaani.
Itni haseen lag raheen thi tumhari bheegi bheegi palke,
Mera dil ne chaha ki Tumhari has ada se pyaar ka ras chalke,
Saarey gum is samey the sabse halke.
Baarish ki boondein bada raheen thi tumhari masti,
Tumhari chahchal adaaon mein meri nigaahey kaise na phastie
Tumharey saamne pheeke thi sabhi mashoor hasti,
Tumpe yehi adaain toh hai sabse zyada jachtii.
Tabhie samay ne kiya ek gupt vaar
Tumhe kahaan mujhe hai jaana …jaaney do na sarkaar,
Mujhe laga yeh bhi tumhaari ada hai ya hai pyaar,
Lekin jab tum jaaney lagi toh mujhe samajh aaya tumhaara vichaar.
Tumne vaada kiya ki yeh haseen pal dubaara aayenge,
Mere dil ne tumharey dil se kahaan ki hum phir mil jaayenge,
Lekin yeh haseen pal mujhe hamesha yaad aayenge
Ab toh hamein intzaar hai ki yeh pal dubara kab aayenge.
